expr:class='"loading" + data:blog.mobileClass'>

Friday, January 12, 2018

Bojhal Palken

Bojhal Palken, Bimaar-O-Beqaraar NazrenKashmakash Me Hain Mubtala Lachaar NazrenGar Chahen To Jhail Jaen Hazaar GhamJee Chahe To Baras Paren Gaddaar NazrenDukh Hone Lagta Hai Chehre Par NumayanK Jab Kabhi Hoti Hain Aabdaar NazrenAnjar Panjar Kar Daala Zamany Ne DheelaDikhne Lagi Hain Naheef-o-Nazaar NazrenHo Gaya Dushwaar Duniya Me Do Pal Ka JeenaSab Bayaan Karne Lagi Razdaar NazrenDua-E-Khair Karo Paaris K Haq MeNaqahat Me Hain Mubtala Mumtaz Nazren...

Saturday, January 6, 2018

Shauk

Eik gawon mein eik gareeb admi apny bivi bachoon k sath rahta tha.woo mehnat mazdori kar k apny bivi bachoon ka peet palta tha.iss ka eik hi beta tha jiss ka nam mudasar tha.mudasar ko pharny ka bhut shook tha.or is sky maa bap bhi chahty thy k in ka beeta parh likh kar bara admi bany lakin ghar k halat is ski ijazat nhi dety thy.jiss ki wajha say mudasar ko athvein jmat sy school chorna para.laiin iss ne dil mein aihad kiya k wo zaroor parhy ga chahy iss ko kuch bhi karna pary.mudasar ne kuch dair sochny ka baad faisla kayak wo shair ja kar mazdoori kary ga or khoob parhy ga.jub mudasar ne apny waldain sy kha wo shair jana chahta hay tu is sky waldain ne sakhti sy manha kar diya.beeta tum kahan raho gy shair mein?wahan tu koi apna janany wala bhi nhi hy.jiss ky haan tum raho gy”mudasar ne kaha yeh sub ap mujh per choor dain.mein jahan kam karoon ga wahein rahoon ga.iss ky waldain maan gay or mudasar shair chala gaya.shair ja kar mudasar ne eik hotel per kam karna shuroo kar diya.
Mudasar din ky waqt kam karta raat ko parhaie karta .hotel ka malik bhut sakht dil tha..wo zara si galti per mudasar ko marta bura bhala kahta.eik din mudasar parhty pharty raat dair sy soya.jis ki wajha sy hotel bhi dair sy khoola.kai gahak hotel band hony ki wajha sy wapis chaly gay.jub hotel k malik ko is ski khabar hoie tu uss ne mudasar ko khoob mara.or kaha ke tum mera hotel chore kar chale jao.main ye noksan bardasht nahi kar sakta.Mudasar ne jab ye suna to kehne laga,ustaad jee mujhe maaf kar dain.main raat ko parhte parhte dair se soya tha jis ki waja se subho jaldi n auth saka.aynda esa nahi ho ga.app mujhe hotel se mat nikalein.main parhna chahta hun ye mera or mere maan baap ka khawab hay ke main parh likh kar barha admi banu.hotel ke malik ne heart se poucha.kya tum hotal main kaam karne ke sath sath parh bi rehy ho.mudasar ne kaha jee han,malik ko pata hi nahi hay ke modasar parhane ke liye itni mehnat kar raha hay.yeh sab jane ke bad us ne modasar ko maaf kar diya is ka rawaiya b badal gya or us ke bad modasar se narmi se pash aane laga.kuch din guzarne ke bad hotel ke malik ne modasar se kaha.kal se hotel tum mat kholna.main ne tumhara dakhala school main karwa diya hay,tum kal se school jao gye,or shaam ke waqt hotel par kaam karo ge.main tumhein is ke pure paise dun ga.Modasar ne jab suna to us ke ankho main khushi ke ansoo aa gye.woh malik ke gale lag gya.ustaad jee app ka bohot shukria ke ap ne meri madat ki.main app ka ye ehsan kabhi nahi bholon ga,modasar bete is main ihsan ki kiya bat hay.jab main tumhare jitna tha to maan baap kehte the ke bete parh lo,parh likh lo ge to tumhare bi naam ho ga duniya main par main kabi n ki baat na suni thi.or aj tumhare samne hun.main nahi chahta ke tum bhi meri tarhan ye hotel chalao.main chahata hun ke tum parh likh kar apna naaam banao.yeh keh kah kar ustaad chala gya or modasar bhi school chala gya.
Aj modasar bohot barha fouji engeenier hay woh apne mulik ki khidmat or hifazat karta hay.ise kehte hain sachi lagan or shok.

Makaar Billi

Kisi jungle main ek unche se darakht par ek akab ka khonsala tha,is darakht ki zarh main ek reench ne apna ghar bana rakha tha,darakht ki kho main ek billi bi raha karti thi,billi bohot chalak or hoshiar thi.
Aik din us ne soucha ke akab or reench ko apas main larah kar in ko sakar par jane se rok dena chahy,take mujhe sakar zyada mile.woophely uqab k pass phunchi or kahny lagi;iss darkht ki jar mein eik reeich rahta hay,woo darkht ki jar khudta rahta hay,mera khayal hay darkht ko girany mein lag howa hy.hamein jald sy jald is ki fikar karni chahy warna wo darkht gira dy ga hum kahan jaein gy?
Mujy apni fikar nhi magar tumhara or tumhary bachon ka khayal hy”
Uqab yeh sun kar ghabra gaya or boola.kiya waqie reeich darkht ko girana chahta hy?billi ne jawab diya.tu kiya mein jhoot bool rahi hoon.mujy iss baat ka yaken hy reeich aj kal mein darkht ko gira dy ga.uqab ne kaha,acha mein dekhta rahoon ga taky wo darkht ko gira na pay.bili boli! Acha mein ab chalti hoon magar khayal rakhna.uqab ne kaha tum itmenan rakho mein essa nhi hoon reeich ky dhoky mein a jawon.
Billi,uqab ky pass sy sedha reeich k passs phunchi or nechi awaz mein boli”dekhoo bhai ajj kahein bahir na chaly jana”reeich ne pocha.kuon kiya baat hay?
Bili ne kaha!raat uqab apny bachoon sy kah raha tha k mein tumhein reeich ka bacha khany ko doon ga reeich yeh sun kar boola.
Tumhari bari mehrbani jot um ne mujhy khabar di mein aaj bahir na jawoon ga,.billi khush khush apni khoo mein ja bethi.raat ko billi chupky say nikli or kha pee kay loot aim agar uqab or reeich kai raatein issi tarah beety rahy unhoon ne kuch khaya na piya.akhir bhook piyas sy dono mar gay.or un ky bachy bhi.billi ne un ko mar kr apny kai dino ki khurak bana liya.iss liye kahty hein bina sochy samjhy kissi ki baton mein nhi ana chahy.

Ikiswein Sadi Ka Allahdin

Eik dafa ka zikar hay k eik mulk mein eik gareeb larka rahta tha.iss ka nam allah din tha.woo phely gareeb na tha magar howa yun k iss ka baap eik or admi k sath pasa kamany dusry mulk chala gaya tha.dus saal guzarny k baad bhi woo wapis na aya or na hi kabhi pasy diye allah din ki maa ko rooti k laly per gay.ghar mein mojod jama ponji khatum hoo gai.allah din eik nikama larka tha.woo sara din internet jata or chating karta is waja se woo daswi ke intehan main 5 bar fail hoa or is ne parhai chor di,Allahdin ki maan ne jab ye dekha ke is ka beta is ke paise zaya kar raha hay or school ki fees se woo internet jata hay to is liye Allahdin ko paise dena band kar diye .
Allahdin par udher charta gya or phir aik din is ne soucha ke woo dosre sher ja kar kamaye ga.jab woo adhe par gya to us ki jeeb main photi kori na thi ke who safar kar sake chunache who padal rawana hoye raste main is ka poun kisi nokli cheeze se takraia is ne jhuk kar dekha to woo purana sa charag tha is ne soucha is ko bach kar ticket kharede ga is ne jese hi charag ko saaf karne ke liye ragra to is main se dhoan nikalne laga who dhoona aik jin ki shakal ikhtyar kar gya .Allahdin pehly to ghabra gya lakin phi rise hosla hoa jab jinn e kaha ke kya Hukam hay mere akaa?Allahdin ne soucha ke mere pass paise bi nahi hay or mujhe bhook bi lagi hay kune na main is ko hukam dun ke muje ye khana de chunacha Allahdin ne kaha muje bhook lagi hay mere liye khana lao jinn e kaha ke jo humkam mam mere aka Allahdin ne kaha ke tum ye hakla kune rehy ho or tumhara hairstyle to salman khan jesa hay jinn e kaha aa aka ye jo sharukh khan hay na ye mere taya ke nana ke bhai ke behan ki beti ke nawase ki behan ka parhpota hay yani kareebi azeez hay,Allahdin ne kaha magar tum to jin ho, jinn e kaha ke woo bi to jin hay balke humhari tarhan uchalta gudata hay phir jin mazeed batane laga or salman khan meri nani ki behan ke bhai ki nawasi ki phopi ka……..Allahdin jin ki baat katte hoya bola bas bas ye sab karebi rishte bad main batana pehly mujhe khana la do ye sunte hi jin foran gayeeb ho gay thori dair bad dobara hazir hoa.Allahdin ne dekha ke jin ke hath main dal ki plate thi Allahdin ne kaha ye kesa khana hay?mere liye murg mosalam lao…….koi bariani lao jin ne kaha main ye bari mushkil se central jail se chori kar ke laya hun aka main to sirf BA pass hun is liye jadooi school main admission nahi mila mujhe zyada kam nahi aate .Allahdin ne kaha ab hum kya karein? Jin ne kah kune na hum mil kar koi nokari karein?Allahdin ne kaha ke meri bi taleem kam hay humhein nokari kese mile gi?
Jin ne apne barhe bhai se mobile par baat ki ke humhari madat karo is ka barha bhai foran hazar ho gya is ne in dono se kaha ke agar tum dono apne ghar walon ki baat mante to aj ye din na dekhna parta.Allahdin ne or jinn e barhe jin se mafi mangi,barhe jinn e maaf kar diya phir woo dono dil laga kar parhane lage or aik din dono ko kamiyabi hoi Allahdin kamyab business man ban gya is ka baap bi loot aya is ki maan or baap hansi khushi rehne lage,jinn e bi sare mushkil kaam or sare jadoo sekh liye woo ab gareeb logon ki madat karta hay or in ke liye kabhi kabar chotti motti cheezon ki madat kar deta hay ab who chori nahi karta .
Dekho bacho! Aap bi mehnat karein gain to aap bi zaror kamyab hun gain.

Pehli Barish 1

Woh shayad hawai jahaz ke pahiyon ki runway se ragar khanay ki awaz thi jis se meri kachi neend toot gayi thi. Jahaz london ke heathrow airport par land kar chuka tha aur ab dheeray dheeray runway par chalta howa parking area ki janib bharh raha tha aur air hostess ke ilaan ke mutabiq london ka mukami waqt subah 6 bajay ka tha.

     London shehar aik malgajhay se andheray main duba howa tha. Aisa lagta tha raat bhar barish hoti rahi hai, halki halki si phuwar ab bhi meri seat ki wind screen par irtaash bikhair rahi thi, Ye barishain bhi kitni ajeeb hoti hain, kabhi tou sari umer bhi musladhaar barasti rahain tub bhi insan ka andar bhigo nahin patien.... aur kabhi kisi ke mann ko har lamha jal thal kiye rakhti hain, lekin bahir walon ko is ki khabar bhi nahin ho pati.... london ki ye pehli barish bhi khuch aisi hi thi jis ne mere wajod ko tou bahir se bhigo diya lekin mere andar ki payas ab bhi mere halk main kantay chubho rahi thi.

     Jahaz apne mukararah parkink stand par lagi tube se jur chuka tha aur musafir jamaiyan laitay howe aik aik kar ke tube ke zariye terminal par utar rahay thay. Jub tak main lounge main pohancha tab tak ufaq se subah ki halki si sufaidi jhanknay lagi thi, lekin kalay ghanay badlon  aur musalsal bunda bandi ki wajah se lounge ke sheeshay ki deewar ke bahir ab bhi kisi udas sham ka sa zardi mael peela andhera baqi tha.

     Main Hammad Amjad Pakistan ke maroof tajar khandan ka chasm-o-chirag ke jis ke aba-o-ajdad Pakistan bannay se pehle aur Pakistan bannay ke baad bhi, intihai aham hakumti ohdon par faez reh chukay thay, Tijarat jis ke ghar ki bandi hai aur mulk ke aham sarkari amaal jis ke ghar sham ki chaye par talab kiya jana apne liye baes-e-fakhar samajhtay hain. Woh hammad amjad aaj london ki is bheegti subah main tanha aur udas heathrow airport ke amad lounge main khara tha, kehnay ko tou meri london amad ka maqsad  yahan ki mashoor kingstone university ke shoba muaashyaat se ala taleem ki do sala degree lena tha, lekin main khud janta tha ke ye sirf aik bahana tha, khud apni zaat se farar dhondhnay ka aik bahana. Main khud ko is shehar ki gehma gehmi main is kadar malawas kar dena chahta tha ke mujhe pal bhar bhi khud apne aap ke sath tanha guzarnay ka moqa na mil sakay. Meri zehni halat aisi thi ke main dusron ke main dusron ke nagawar wajod ko bhi jhailnay ke liye tayar tha lekin khud apna samla lamhe bhar ko bhi nahin karna chahta tha. Lekin ye insan bhi kitna majbor aur lachar hai. Bahir aaas paas lagay sub ayenay phor bhi dalay tab bhi apne andar lagay ayenay ka samna har dam lazmi hota hai.

     Jub tak main custom aur degar mamool ki karwai se farigh ho kar terminal se bahir pohancha tab tak bahir ki khunak hawa ke barf ke ikka dukka sitarah nama galay shamil ho chukay thay. Khuli fiza main pehla qadam rakhtay hi sardi ki aik shadeed lehar ne mere saray wajod ko shadeed junjhuna sa diya. Bay ikhtyar mere hath mere aur coat ke collar ki taraf bharh gaye aur maine khud ko achi tarah se dhamp liya, Sardi chahay jitni bhi shadeed kyoun na ho, is ki pehli lehar aap

Adhori Mohabbat Story (Part6)

ab bicharnay k din dheeray dheeray qareeb aatay gaye Sooraj nahi jaanta tha k Niti kiss takleef se guzar rahi hay Sooraj ko bhi iss bat ki takleef thi magar uss hadd tak nahi jitni Niti ko

Niti poori poori rat so nahi paati, Sooraj se bichar janay ka darr Niti par hawi ho chukka tha

Ussay khaanay peenay ki hosh bhi nahi hoti thi..

Niti nay har mumkin koshish ki k Sooraj ki company ko business milay or wo irada badal day

Magar qismat ko ye manzoor nahi tha

Uss roz bohat zor ki barish thi

Niti nay Sooraj se keh dia k mera Visa cancel kar dejiye

Sooraj ka bhai Rehan, or Kaashi office mai mojood thay barish ki awaz Niti k dil per ja kar lagti thi or Niti ko pareshan karti thi k agli barish main wo Sooraj k qareeb nahi hogi..

Issi soch main Niti office se bahar nikli apnay khayalon main barish ka nazara kartay huay Niti ki ankhon k samnay interview k din se lay kar aaj tak ka har lamha aa raha tha jo Sooaj k sath beeta

Kuch hi dair guzri

Barish tez hoti chali gai

Niti ek teen ki chatt talay khadi samnay se chatt k be naqab (khullay huay) hissay se aanay wali barish ka nazara kar rahi thi

Thoda sa agay bhari or yadon k hajoom main Sooraj se bichar janay k khouf se chakra kar gir parri

10 minutes tak kisi ko pata nahi chala..

Taqreeban 10 min k baad Sooraj k Dost Nataraj ka guzar Sooraj k office k bahar se hua jo dar asal kisi kaam se Sooraj se hi milnay aa raha tha..

Uss nay bahar be hosh parri hui Niti ko dekha to pareshani mai agay bhada jab Niti ko chooa to uska badan kab se sakit para tha wo mad hosh barish main najany kab se girri hui bheeg rahi thi

Nataraj nay Niti ko uthana chaha magar munasib nahi samjha wo dorta hua Sooraj k office mai dakhill hua itnay main 3,4 logon ka guzar Niti k pass se hua unki dekha dekhi yak ba yak bht se log Niti k ird gird jama hogaye
magar sooraj k khof se kisi nay ussay uthana munasib na samjha

Nataraj aatay hi seerhiyoun se neechay khara chilla chilla kar Sooraj ko awazain dainay laga

Sooraj ! Sooraj ! what happened to Niti?

Itnay main bahar hajoom se 2,3 or log aaye or Chilla chilla kar Bolay Sooraj Bhai Sooraj Bhai bahar aao"
wo Ladki , wo Niti "

Niti ka name sun kar Sooraj dorta hua chala aaya

Kia hua? Soraj nay pareshani se poocha Nataraj : Sooraj your Niti

Sooraj Preshani se chilla kar bola what happened to Niti? Where is she ? ye keh kar Sooraj dorta hua bahar nikla logon k hajoom se kuch log Sooraj ko aatay huay dekh kar peechay hatt gaye or kuch ko hata kar Sooraj agay bharha to kia dekhta hay k Niti iss barish main be sudh, behoshi ki halat main padi hay

Sooraj nay aagay bhar kar Niti ka Sir apni bazu per rakhtay huay pehlay uss kay kapday sametay or phir dayen hath se Niti k chehra thap thapatay huay Niti kia hua Niti !

ankhain kholo ! ppp paani lao

Rehan or kaashi bhi uss hajoom ka hissa ban chukay thay

Sooraj chilla kar bola Rehan ! paani laao

Rehan jaldi se bhaagta hua paani lainay gaya jab Sooraj nay Niti k sir k neechay se hath hataya to Sooraj ka hath Niti k khoon se bheeg chukka tha

Shyed pass main padhay huay gamlay k sath Niti ka Sir takra kar zakhmi ho chuka tha kuch dair main Sooraj nay dekha k barish k paani main Niti k sir se behta hua khoon bhi shamil ho kar beh raha tha.. ye dekh kar Sooraj ki rooh larraz uthii itnay main Rehan paani lay aaya Sooraj nay Niti k mu main paani dalnay ki koshish ki lakin paani Niti k mu main janay k kuch hi dair bad khud ba khud wapas nikal kar behnay laga

Jab sooraj nay Niti ki nabz dekhnay k liye uska bayan hath thaama to uss par likha tha Mr. Sooraj I love you too much !

Na sirf Sooraj nay balkay aas pass khaday sab logon nay jissay padha 
Sooraj us waqt apnay bhai cousin or sab building se aaye huay logon k hajoom main sharminda hogia
Sooraj Chillata hua Rehan meri gaari ki chaabi la Rehan !

Rehan dourta hua chabi laya Sooraj Niti ko apni bazoun main utahaye huay Rehan mere sath aa kaashi tu office band kar k nikal

Ye kehtay huay 

jaldi se bahar parking ki taraf bhadha or hospital ki taraf rawana hua

Niti hosh main aa chuki thi Uss ko drip lagai gai uss kay sir par aai hui mamooli si chot par patti baandhi gai Nehal or Didi bhi hospital pohanch chukay thay Dr. nay bataya aisa depression ki wajah se hua hay

Sooraj ko saman ki telephone calls aa rahi theen

Sooraj Niti ko us ski Didi or Nehal k hawalay kar k chala to gaya magar rastay bhar ussay Niti k hath par likha hua eik Jumla Mr. Sooraj I love you too much yad ata rha

Or uss kay sir se behta hua, or barish k paani main ghulta hua khoon Sooraj ki ankhon ko bighota raha aaj har 5, 10 minute k bad Sooraj ek cigrette jalata tha

Saman bar bar poochti kia hua Sooraj ? aaj ap itnay bechain kioun hain

Kioun k Rehan ussay Niti ki behoshi ka bata chukka tha

Khanay ki mez par bethay huay Sooraj niwala uthata or Soch main par jata Saman bohat dair Sooraj ko younhi dekhti rahi or akhir main gussay se boli wo ladki behosh kia hogai tumhari jaan par ban aai jantay ho main kab se tumhara intezar kar rahi thi ye batanay k liye k I am pregnant

Agar tumharay mann main Niti hay ya tumharay uskay beech main kuch esa hy to mere sath ye sab kuch kioun kia?

Ye sab sun kar Sooraj ko ehsas hua k shyed wo or Niti Saman ko Dhokha day rahay hain

Sooraj: kumlaye huay lehjay main
Saman are u pragnant saman?
Yes i am" Sooraj nay saman ko galay laga lia or bola " i dont love her beleive me sweetheart uskay or mere beech main kuch b nahi hay" she is just my staff and thats it"
Saman Sooraj k bazu hatatay huay"
Tum itnay arsay se mujhay koi lift hi nahi karatay mujhay shakk tha lakin aaj Rehan k batanay or tumhari pareshani k bad mujhay yaqeen ho chala hay k tumharay uskay beech main zaroor kuch hay"
Sooraj ek bar phir Saman ko bazoun main mazbooti se qaid kartay huay"
Sweet heart mujhay uss se kuch laina daina nahi hay mujhay to kam ki tension hay" agar kaam nahi hoga to tumhain or apnay bachon ko kese paloon ga khud socho pareshan na hon to kia karoon ?meri company close honay wali hy"
Saman isi liye main kab se khamosh thi lakin agar tumharay or us kay beech main waqai kuch nahi hay
To
(Sooraj ka hath apnay pait par rakhtay huay rotay huay lehjay main boli )
Tumhain apnay honay walay bachay ka wasta uss ko kal hi terminate kar do"
Ye sun kar Sooraj ek lamhay k liye chonk utha" terminate"
Saman: haan to kia problem hay?
Sooraj ki ankhon k samnay yak dam ye sab kuch aanay laga
Niti ka chehra uski ankhain jo Sooraj ko dekh kar palkain jhapakna bhi bhool jati thi
Phir aaj ki sham uska barish main bheegta hua badan, uski behoshi, uskay sir se behta hua khoon, or uskay hath par likha hua" Mr. Sooraj i love you too much"
Dr. Ka kehna"ye sab depresion ki wajha se hua" Niti ka lehja, Niti ka hansa, Sooraj k kandhay, or paoun dabana, Rotay huay kehna pls Mr. Sooraj company band mat karain mujhay salary mat dijye ga" aap ko na dekha to main marr jaon gi Sooraj"
ye sab kuch, kuch hi lamhon main Sooraj k zehan main goonja to wo pareshani main Saman k peit se hath uthatay huay zara peechay hatt gaya
Saman ye dekh kar roti hui bed par mu k ball late gai
I know u love her" u ll never leave her"
Ye sun kar Sooraj Saman ki taraf bharha us kay balon main hath pherty huay bola
"Aapka har hukam sir ankhon par"

Aglay 2 roz tak Niti office nahi aai or teesray roz Sooraj ko dekhnay ki khatir Didi or Nehal se jhagar kar office aagai
sooraj nay office pohanchaty hi Ghussay se Niti ko dekhtay huay kaha kaha tum beemar thi to anay ki kia zaroorat thi ? Log kia kahain gay tumharay ghar walay kai sochain gay tum ye sab kioun kar rahi ho ?maana k tumhain mujh se payar hay magar ye kia harkat thi? Be hosh hona phir hathon main mera naam likhna

Jaanti ho main nay hi nahi pooray zamany nay dekha Rehan (Sooraj ka bhai) nay or jaanti ho uss nay mujh se kia kaha?

Aapkay or Niti k beech main kia hay

Khuda k liye Niti ! mera ghar barbaad mat karo meri bivi ko pata chala to wo kia sochay gi? Main tum se shadi nahi kar sakta kia expect kar rahi ho mujhse ?

Jao Niti khuda k liye jao ! or ja ker apnay dimagh ka ilaaj karao

Ye payar ka natak kisi or k samnay karma

Mujahy iss muhabbat ishq wishq k naam se nafrat hay tum koi school ki student nahi ho jo ye harkatain kar rahi ho ye sab to ham log aaj se 30 baras pehlay school main kia kartay thay

Ye sab sun kar Niti nay sooraj ko koi jawab nahi dia wo khamosh rahi buss eik baat ka shikwa uss kay dil main baar bar uth ta magar wo sooraj se kuch kahay bina apnay ansoo pohnchti reh gai or sochti rahi

ye baat tum aaj bata rahay ho Sooraj ! or 3 saal se ? 3 saal se khamosh kioun thay?

Niti k Dil par jo qayamat aaj guzar rahi thi uss se bhaari koi ghari kabhi nahi aai thi
Issi doran Niti nay apnay cousin Rafay jiss ki mom dad karachi Pakistan main muqeem thay or aksar Niti se kaha kartay thay Islamabad jao to hamary pass se hoti hui jana"
Rafay ( jo Sooraj k betay ki birthday party main Niti ko lay kar gaya tha ) wo in dino parents se milnay karachi gaya hua tha
Niti nay call kartay hi kaha Rafay bhai mujhay emergancy main aaj rat Islamabad jana hay magar mujhay seat nahi mil rahi" agar main karachi aaon or aapkay mumi daddy se mil kar Islamabad jaon to is it ok? Rafay: han to iss main problem hi kia hay magar hua kia hay? Rafay nay herat se poocha
Niti: ye main aaj aaker bataon gi
Aap ye bataye aap mujhay kal subha karachi to Isb ki seat lay kar day saktay hain air blue se"
Rafay ok no issue tum aaj aarahi ho?
Niti jee main ami didi or jeeja je se pooch chuki hon sirf ap se poochna baqi tha or online ticket book karni hay
Rafay: ok aajao" tum ticket copy send karo main Karachi - Isb ki booking kar k ticket copy Email karta hon"

Sooraj janta tha k aaj Niti naraz hay magar ziada deir naraz nahi rahay gi or ro dho kar khudhi bolnay lagay gi
Sooraj ko apni galti ka ehsas bhi tha wo 2,3 bar Niti ki seat k pass aaya magar wo apni seat par mojood nahi thi
Sooraj anay bahany Niti se bat karna chahta tha magar aaj sara din guzar gaya Niti nay koi call bhi Sooraj ko transfer nahi ki
kioun k wo Sooraj ko apni awaz sunnana bhi nahi chati thi

Sooraj bhi chup raha jatay jatay Niti nay apna zaroori saman sameta subha se Sooraj se na koi bat ki na hi ussay apna chehra dikhaya na hi ussay dekha or aaj Khilaaf e mamool Niti Office se Sooraj ko kuch bataye bina jaldi hi nikal gai or jatay huay apni outlook se ek email type ki

Jiss main sirf eik nazm k siwa kuch or nhi tha

tumhain ham yaad aaian gay....
tumhain ham yaad aaian gay....



kabhi jaaray ki ratoun main,

sayyah ik shaal ko orhay

agar Cigarette jalao gay

tumhain ham yaad aaian gay.....



wohi rastay jahan ham tum

kabhi barish main bheegay thay

kisi k sath ya tanha

unhi rastoun pe jaou gay

tumhain ham yaad aain gay....



hamaray chaar hathon nay

kabhi kuch barf lamhon main,

dia ik din muhabbat ka jalaya tha

waheen per beth kar ik din

lahoo apna jalaou gay

tumhain ham yad aain gay.....



kabhi ghar loaut aanay main

zra si dair kar daiatay

do amkhain rasta takteen

do ankhain muntazir rehteen

unhain jis din na paao gay

tumhain ham yaad aian gay.....



kisi ko be khata hi khaak main,

kioun khaak kar dala

kabhi sahil, kabhi sehra pe

jab mitti uraao gay

tumhain ham yaad aaian gay....



meri ankhoun ki gehraai main aksar doob kar

sab bhool jatay thay...

kisi ki jheel ankhaoun main

kabhi jab doob jaou gay

tumhain ham yaad aain gay.....



kabhi jab karwatain laitay

dhllain gi chandni ratain

kisi anjaan khadshay se

kabhi jabso na paao gay

tumhain ham yaad aian gay.....



suno kis ko sunao ge

wo din bhar ki kahani or

wo saari raaz ki batain

dar o deewaar ko ghar ki 

jo haal e dil sunao ge

tumhain ham yaad aian gay.....



muhabbat se koi jana!

tumhara lay ga jab

achanak chonk jao gay

tumhain ham yaad aian gay....



sabhi beetay huay lamhay

tumhari soch ki dehleez per

jab dastakain dain gay

k jab apnay hi ghutnon se

ye sar apna tikao gay

tumhain ham yaad aian gay

tumhain ham yaad aaian gay....






Iss email k sath two attachments bhi thi Jiss main 1 aaj raat 27 july 2010 ki 0r ek kal subha 28 July 2010 ki ticket copies attached thee

Niti ki flight ka time qareeb aata gaya wo packing karti rahi or sochti rahi k Sooraj ussay ek baar call kar k kuch to kahay ga
payar hua ya apni galti ka ehsas hua to wo ek bar call zaroor karay ga

Or Sooraj nay abhi tak apni email hi check nahi ki thi
Flight main apna mobile off karnay se ek lamha pehlay tak bhi Niti Sooraj ki call ka intezar karti rahi thi sab log apna apna number off kar chukay plane landing karnay b laga to Niti nay mobile off nahi kia tha k shayed Sooraj ek bar phone to karay...
Magar esa nahi hua...
Jiss lamhay Niti nay apna number off kar dia to kuch ansoo uski palkon se toot giray

Sooraj nay jab rat ghar janay k baad apni email check ki to uss waqt raat k 12.00 baj chukay thay

jab Sooraj nay Niti ki 27th July 2010 yaani aaj rat ki ticket copy dekhi 
Miss Niti Khan Ticket # 2141737286068

OUTBOUND FLIGHT: DUBAI > KARACHI
27th July 2010
Cabin: Economy Class 
From/To: DUBAI 
/ KARACHI 
Flight: ED303 
Time: 23:30 PM
Arrives: 02:30 

or doosri Ticket

28th July 2010
OUTBOUND FLIGHT: KARACHI > ISLAMABAD
ED 321 07:30 09:30 Economy "
attach thi
uss kay peron tallay se zameen nikal gai...

phir uss nay aik nazar apni kallai main bhandi hui gharri ko dekha Niti ki flight ko adhaa ghanta guzar chuka tha
uss nay becheni ki halat main Niti ko naa janay kitni hi caLLs KI to uska number musalsal out of reach jata raha....


jab Niti nay Karachi airport pohnachany k bad apna number on kia to Sooraj us waqt tak thakk haar k so chuka tha

uss waqt raat k 2.30 baja tha Rafay nay Niti ko Karachi arirport se pick kia gahr pohanchaty hi anty uncle Niti ka kab se intezar kra rahy thay Niti un sab se mili or phir baton ka silsila ese shuru hua k Subha k 6.00 baj gaye
Rafay k mom dad nay or Rafay nay Niti ko bohat kaha k aai ho to kuch din thehar kar phir chali jana
lakin Niti musalsal zid karti rahi ab to main aa hi chuki hon mulaqat to hoti rahay gi ammi mera intezar kar rahi hon gi mujhay un se milnay ki becheni hy'
fesh ho kar Niti dobara Airport k liye nikli Rafay ussay chor kar ghar lout aaya
Or Niti Sooraj ki call ka wait karti reh gai...




rastay bhar Niti ki ankhain bheegi rahi Niti k kano main Sooraj k sab jumlay goonjtay rahay jao Niti jao khuda k liye jao" meri zindagi barbad mat karo
Ye payar ka na tak kisi or k samnay karna"
Ja kar apnay dimagh ka ilaaj karwao"
ussay apni wafain yaad aati raheen...

or ansoooun ki rim jhim hoti rahi..
Didi or Nehal ko Niti nay nhi bataya tha k wo kioun ja rahi hay bus yahi kaha k uss nay fesla kar lia hy wo ja ker kisi se shadi kar lay gi' uss ka ye fesla sun kar sabhi bohat khush thay
Kioun k mangni toot janay k bad Niti na kabhi shadi na karnay ka fesla jo kia tha

wahan ami Niti ki muntazir theen


Niti nay ek baar Dua k liye hath uthaye or kaha

" ya ALLAH SUna hay tu musafir ki dua sunta hay aaj teri Niti khan Musafir hay main nay kabhi koi khushi nahi dekhi, jiss se mangni hui wo dhokhay baaz nikla, jiss se payar hua wo kisi or ka nikla, maan nay kuch bhi nahi socha or khud se juda kar k dhakel kar pardes main rulnay ko bhej dia
main teri zindagi ka kia karoon? Mujhay naakaam zindagi nahi chaiye mujh se ye zindagi lay lay tujhay tera wasta"


jese hi Niti nay ameen kaha'

ussay kuch hal chal si mehsoos hui sab log darr chukay thay or kuch kalmay parh rahy thay or kuch Duain maang rahay thay

bar bar kharab mosam ki Announcement hoti rahi phir Announcement hui k apni apni hifazat k liye Hifaazti bandh baandhay rakhiye
Hangami halat main life jackets ka istemal karna mat bhooliye jo apki seat k neechay mojood hain'
bar bar tv cameras main recording dikhai ja rahi thi k kiss tarah se life jackit ko istemal karna hay' kuch hi dair main Niti samet sab log life jackits pehan chukay thay
Niti nay bohat se logon ki tarah pareshani main apna mobile on kar lia jahan " No network coverage " ka msg musalsal aata raha

Niti k liye ye lamha bohat takleef deh honay k sath sath bohat pur sakoon lamha bhi tha

Niti k dil main mout ka zara barabar bhi khof nhi tha k wo marnay ja rahi hay

buss ussay sadma tha k Sooraj ki muhabbat main wo 3 saal se ammi ko dekh bhi nahi saki jo uska intezar karti reh gain...


kuch hi dair main air blue ka ye palne islamabad pohanch chuka tha or margala hills main takra chuka tha...

Niti nay ankhain band ki to ami ka chehra , Didi , Nehal apnay chotay bhai behan Amar or sab se aakhir main Sooraj ka chehra utar aaya....

har taraf aag k shoulay thay or cheekhon ki awaz bulan thi.....
Niti jalti hui aag k sholon main cheekhti chillati rahi...
Or us kay zehan main aata raha
" Didi mujhay maaf karna main nay jhoot bola tha main shadi karnay nahi ja rahi thi

Didi haye Sooraj bhi be wafa nikla , uss nay kuch nhi socha

wo chahta to mujahy rok laita uss nay nahi roka balkay ek bar call kar k alwida bhi nahi kaha
Ussay apni galati ka ehsas bhi nahi hua
Ussay meri ek wafa bhi yad nahi aai

sorry ammi main apko chor k ja rahi hon ...
Aakhir main uski ankhon se be shumar aansoo tapkay or uss k honton par ye alfaaz thay
Ye payar ka natak" khatam honay chala hay Sssoo ' rajj
but I really love you SSSssss Soo soo rajj !
ye kehtay kehtay Niti aag k sholoun main dhns gai

Niti ki jaan nikal chuki thi..... ALLAh nay aaj Niti ki dua sun li thi
sach kehtay hain kuch gharriyan qaboliyat ki hoti hain...


Wahan Sooraj ki aankh khuli to wo jese taddap kar uth betha
Jab uss ka khawab ye suntay huay toota
"Ye sab 3 saal pehlay keh dia hota Sooraj" 
Sooraj nay phir se Musalsal Niti ka number dail karna shuru kia jo k ab tak out of reach tha
Sooraj behkay huay qadmon se chall kar office main dakhil hua to Niti ko naa paa kar uss kay chehray par udaassi chaa gai
Seerhi main qadam rakha to apni kahi hui tamam batain Sooraj k kano main goonjnay lagi
" Jao Niti Khuda k liye jao" mera ghar bar'bad mat karo"
Sooraj ajab nadamat or pashemani liye seerhiyan charhta raha or Niti ka roz uska rasta rok laina...
Sooraj ko qadam qadam par yad aata gaya or mann hi mann main wo kehta raha" Niti main nay to wo sab kuch ghussay main kaha tha"

apni table par pohnachaty hi Sooraj nay phir se Niti ka number dail kia ye soch kar k wo ab tak apnay ghar pohnch kar apna number bhi on kar chuki hogi"
magar wo number ab tak out of reach hi ja raha tha
kuch hi dair mai apna laptop on karnay k foran baad apni tassali k liye Sooraj nay aik bar phir Niti ki last email main ticket copy ko ghor se dekha
us kay bad hasb e mamool news padhany k liye jab www.gulfnews.com
open kia to pehlay hi safay par ye khabbar dekhi


Fire and smoke rises from the wreckage of a passenger plane which has crashed in The Margalla Hills on the outskirts of Islamabad.


A commercial Pakistani passenger plane with 152 people on board crashed in bad weather in hills near the capital, Islamabad, on Wednesday, killing many people, officials said.

The Airbus 321, belonging to private airliner Airblue, lost contact with the control room of the Islamabad International Airport at 0443 GMT while flying from the southern port city of Karachi. The plane was carrying 146 passengers and six crewmen.

Do you know anyone who was on that plane? Tell us about it, along with your mobile number (for our records only), by clicking the 'Post a Comment' link below, or emailing us at readers@gulfnews.com
Sooraj nay pareshani ki hallat main jaldi se Niti ki Ticket check ki
jiss main yahi tafseelat darj the'en

28th July 2010
OUTBOUND FLIGHT: KARACHI > ISLAMABAD
ED 321 07:30 09:30 Economy "


Sooraj ye dekhnay k baad bulland awaz main chillaya
Nitiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii
Sooraj ki ankhain namm hogain...
Us kay hath peir kanpany lagay
uss nay hath jor kar Khuda se dua ki wo chahay zakhmi ho'
magar zinda ho, warna main khud ko kabhi mauf nahi kar paaounga !

Sham se pehlay Sooraj ko Didi se pata chala k Niti iss Duniya se kabhi na wapas anay k liye jaa chuki hay...

Aaj hi Sooraj ki 4 companies main bhejhay huay quotations ka approval aana tha
jo aaj sham 5.00 bajay Sooraj k hath main aaya
Sooraj nay ye fesla kar rakha tha k agar in 4 main se koi 1, ya 2 quotations bhi approve hogaye to wo company band karnay ka fesla badal day ga" magar uss nay ye baat ab tak Niti ko nahi batai thi

kioun k un main har ek quotation ki price taqreeban 30,000 AED thi
or wo 4 ki 4 quotations hi aaj approve ho chuki the'en


aaj Rat Sooraj Saman ki aaghosh main sir rakh kar itnaa roya itnaaaaa roya itnaaaaaaaaa roya k saman ko bhi rula dia
Or wo jazbaat main aaker boli " agar wo tum se itna hi payar karti thi, tumhara itna hi khayal rakhti thi, to mujhay pehlay bata dia hota, main apnay hathon se ussay Dulhan bana kar tumharay ghar lay aati"

Didi or ami aaj bhi aksar khwab main Niti ko dulhan banay huay dekhtay hain kioun k Niti nay un se yahi kaha tha k wo Shadi karnay k liye aarahi hay...


Sooraj ki company aaj bhi Luxury advertising & Events k name se jani jati hay...
Sooraj k pass sab kuch hay lakin nahi hay to wo Niti jiss nay ussay tamam haddon se barh kar chaha tha
nahi hay to Sooraj k zindagi main sakoon nahi hay
kioun k kehtay hain " kisi ka dil tornay walay ko sab kuch mill to jata hay bus kabhi Sakoon" nahi milta "
Sooraj ab kisi ladki ko office main hire kartay huay darta hay

Aaj bhi Sooraj ko Niti yad aati hay
Jab wo kisi ki ankhon ki gehrai main doob jata hay,
jab bhi koi payar se uska nam laita hay,
jab bhi wo seerhiyon se utarta hay,
Jab bhi office k andar dakhil hotay hi koi ussay muskuratay huay Assalam alikum" kehta hay,
jab bhi wo cigrette jalata hay,
jab bhi wo ash phenkta hay,
jab bhi wo kisi soch main akela chalta hay...,
jab bhi wo khaak par chaltay huay mitti uraata hay,
jab bhi wo apnay ghutno se sir takata hay....,
Ussay wo yaad aati hay

tumhain ham yaad aaian gay....
tumhain ham yaad aaian gay....



kabhi jaaray ki ratoun main,

sayyah ik shaal ko orhay

agar Cigarette jalao gay

tumhain ham yaad aaian gay.....



wohi rastay jahan ham tum

kabhi barish main bheegay thay

kisi k sath ya tanha

unhi rastoun pe jaou gay

tumhain ham yaad aain gay....



hamaray chaar hathon nay

kabhi kuch barf lamhon main,

dia ik din muhabbat ka jalaya tha

waheen per beth kar ik din

lahoo apna jalaou gay

tumhain ham yad aain gay.....



kabhi ghar loaut aanay main

zra si dair kar daiatay

do amkhain rasta takteen

do ankhain muntazir rehteen

unhain jis din na paao gay

tumhain ham yaad aian gay.....



kisi ko be khata hi khaak main,

kioun khaak kar dala

kabhi sahil, kabhi sehra pe

jab mitti uraao gay

tumhain ham yaad aaian gay....



meri ankhoun ki gehraai main aksar doob kar

sab bhool jatay thay...

kisi ki jheel ankhaoun main

kabhi jab doob jaou gay

tumhain ham yaad aain gay.....



kabhi jab karwatain laitay

dhllain gi chandni ratain

kisi anjaan khadshay se

kabhi jabso na paao gay

tumhain ham yaad aian gay.....



suno kis ko sunao ge

wo din bhar ki kahani or

wo saari raaz ki batain

dar o deewaar ko ghar ki 

jo haal e dil sunao ge

tumhain ham yaad aian gay.....



muhabbat se koi jana!

tumhara lay ga jab

achanak chonk jao gay

tumhain ham yaad aian gay....



sabhi beetay huay lamhay

tumhari soch ki dehleez per

jab dastakain dain gay

k jab apnay hi ghutnon se

ye sar apna tikao gay

tumhain ham yaad aian gay

tumhain ham yaad aaian gay....